Mobi-Sandesh.blogspot.com

Shayari (NEW)


धडकन बिना दिल...

धडकन बिना दिल का मतलब ही क्या
रोशनी बिना दीये का मतलब क्या
क्यूं कहते हैं लोग कि मोहब्बत ना कर, दर्द मिलता है,
दुनिया क्या जाने दर्द बिना मोहब्बत का मतलब ही क्या .



Tujse Doori...

Tujse Doori Ka Ehsaas Satane Laga,
Tere Saat Guzra Har Lamha Yaad Aane Laga,
Tujhe Jitna Bhi Bhulane ki kooshish Ki,
Mere Tu Aur bhi Dil Ke Pass Aane Laga,



Zindagi...

Zindagi to bahut kam hai mohabbat k lie,
Rooth kr waqt gawane ki zarorat kia hai,
Rooth jane ki ada hum ko bhi ati hai,
Kash hota koi hum ko bhi mananay k liye…


Jinke Bina Jeena...

Jinke Bina Jeena Mushkil Thha,
Usi Ne Jeena Mushkil Kar Diya.
Jiske Naam Ki Hum Kasam Khaate Thhe,
Wahi Kasam Tod Ke Chal Diya.

Ji safar ki shuruat...

Ji safar ki shuruat karte he, Wo manjil ko par karte he,
Bus 1 bar chalne kahosla rakhiye, aap jaise musafiro ko to raste bhi intzar karte hai.

Na wo farishta ho...

Na wo farishta ho na farishtay jaisa ho
Mujay talash hy uski jo meray jaisa ho
Mery khuloos ko pehchanta ho bus kafi hy
Wo jo b ho, kahien b ho, kaisa b ho
6 Ek pal unke bin bitana...

Ek pal unke bin bitana muskil hua,
Chaha to bahut par dur jana muskil hua,
Q ho Gye wo is kadar Apne,
Ki unki galti par ruth jana bhi mushkil hua…!!

Arman Koi Seene Mein...

Arman Koi Seene Mein Aag Laga Deta Hai,
Khwab Koi Aker Raton Ki Neend Uda Deta Hai,
Punchhta Hoon Jisse Bhi Manzil Ka Pata Ab To,
Vo Rasta Tere Gher Ka Hi Bata Deta Hai.

Phool khilte hain...

Phool khilte hain
Phool khilte hain, khil kar bikhar jate hai,
Phool khilte hain, khil kar bikhar jate hain,
Yaade to dil me rehti hai, Dost mil kar bichad jate hai…

Tere bina ek pal...

Tere bina ek pal bhi jea nahi sakta,
Marna chahu bhi to mar nahi sakta,
Tere sath jeene ka wada kiya hai maine,
Iss pyare se wade se main mukar nahi sakta.
Mana ki mulaqat me tamam mushkilein ayengi,
Phir bhi tujhse mile bina main reh nai sakta,
Tujhe qasam hai meri mera sath nibhana har mod per,
Tujhse bichad ke ek kadam bhi main chal nai sakta.

Jab khuda ne ishq...

Jab khuda ne ishq banaya hoga
Tab khud khuda ne bhi use aazmaya hoga
Hamari aaukat hi kya hai
Kambakht ishq ne khuda ko bhi rulaya hoga

Ye raat itni tanha...

Ye raat itni tanha kyu hoti hai
Kismat se apni sabko shikayat kyu hoti hai
Ajeeb khel khelti hai kismat
Jise hum paa nahi sakte
Ussi se hi mohabbat kyu hoti hai?

Kisi gair ko apna...

Kisi gair ko apna bana ke to dekhiye..
Aur kisi rote ko hansa ke to dekhiye..
Pyar, mohobbat, dosti, ishq… Sab dhokha hai..
Par maza aayega khuda kasam…
Ye dhokha ek baar kha ke toa dekhiye..

Jisko samajti hun...

Jisko samajti hun mai anjana sa chehra….
Jane mile kis mod wo pehchana sa chehra…..
Wo khel rahe hai ya sach hai ye haqiqat……..
Koi mujhe bata de kya hai tera “chehra”

Likho toa kuch aisa likho...

Likho toa kuch aisa likho
Ke kalam bhi rone pe majboor ho jaye
Har lub mai woh dard paida karo
Ke woh bhi tumhe pyaar karne per majboor ho jaye……..

Khushi ho ya ho gam...

Khushi ho ya ho gam , jayada ho ya kam
Sab kuch sehna to padta hi hai
Chahe sapne hakikat na ho paye
Chahe zindagi mussibat ban jaaye
Fir bhi iss jahan mein rehna to padta hi hai

Wo bewafa na tha yuhi...

Wo bewafa na tha yuhi badnaam ho gaya
Hazaro chahne wale thy kis kis se wafa karta

Dushman bhi pesh aaye...

Dushman bhi pesh aaye hai dildar ki tarah,,
Nafrat milee hai unse mujhe pyaar ki tarah.
Kaise milenge chanhne wale bataiye,
Duniya khadi hai rah mein deewarki tarah.
Woh bewafai kar ke bhi sharminda na hue,
Sooli pe hum chadhe hai gunahgar ki tarah.
Toofon mein mujh ko chod kar woh log chal diye,
Sahil pe they jo sath mein patwar ki tarah.
Chehre pe hadsoo ne likheen woh ibaratein.
Padhane laga har koi mujhe akhbar ke tarah.
Dushman bhi hoo gaye hain maseeha sifat Jamal
Milte hain toot kar woh gale yaar ki tarah.

Teri dosti ne mujhe...

Teri dosti ne mujhe mashoor kar diya,
Zindagi jine ko majboor kar diya,
Kya kahu main ab yaar tumse,
Tune mujhe maut se bhi dur kar diya

Mere dil ko ye akelapan...

Mere dil ko ye akelapan gawara na tha,
Hamari kashti behti rahi, koi kinara na tha,
Yu to zameen pe bheje hai sitare khuda ne
Par unsitaro me hamara koi na tha…………

Koi khawab in aankho...

Koi khawab in aankho mai sajaya hi nahi,
In bheegi palko ki gehrai koi samajh paya nahi.
Kisi ko kami mehsos ho humari,
Khuda ne hume aisa banaya hi nhi.
21 Hasrat nahi,armaan...

Hasrat nahi,armaan nahi..
Yaadoan ke siva aur mere paas kuch nahi..
Jindagi ki safar main kaun kiska hota hain???
Chhaya bhi saath nahi deti jab andhera hota hain…

Paigham likho to kuch...

Paigham likho to kuch aisa likho ke qalam bhi rone per majboor hojaye,
har lafz main woh dard bhardo ke padhne wale pyaar karne per majboor ho jaye…!

Yaadon mai hum rahe...

Yaadon mai hum rahe ye ehsaas rakhna
Nazro se dur par dil ke paas rakhna
Ye nahi kehte ki sath raho
Dur hi sahi par hume yaad rakhna.

Aankho mai arman diya...

Aankho mai arman diya karate hai ;
Ham sabaki Nind Chura liya karate hai :
Ab jab jab aapki palke Zukengi ;
Samaj lena ham aapako yaad kiya karate hai :

Yaad Aye toa...

Yaad Aye toa Ankhey band mat karna
Hum chale bi jaye to gham mat karna
Yeh zaruri nahi ki har rishtey ka koi naam ho
Par pyar ka ehsaas apne dil se kam mat karna

Har nakamiyabi...

Har nakamiyabi ka matlab haar nahi hota,
Har nah ka matlab innkar nahi hota,
Aree kya hua hum usse pa na sake yaaro,
Sirf pane ka matlab pyar nahi hota………